kaho dukh ke samndar ka safar ab tak raha kaisa
kahan ujale kinaron ka koi imkaan dekha hai
kaho dariya kinaron se bhala kya guftgu thehri
kahan dariya ko apne zabt pe hairat dekhna hai
kahan kyun kis liye khola ye tumne dil ka darwaza
bataaya dil ke raston par koi mehmaan dekha hai
kaho uss ishq ki baabat, bhala kya hadh rahi hogi
kahan woh ishq jaise rooh ka sartaan dekha hai
kaho usse bichadne ki, tumhen manzoor yeh hoga
kahan jeene ki khwahish ko kabhi qurbaan dekha hai
kaho phir tum pe kya guzri woh khwab-e-zindgi kho kar
kahan kal apni ankhon ko bohat be-jaan dekha hai
No comments:
Post a Comment