nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Friday, July 24, 2009
usske jaate hi yeh dil
phir usske jaate hi yeh dil sunsaan ho kar reh gaya
achcha bhala ik shehr tha viran ho kar reh gaya
har naqsh batal ho gaya ab ke dyaar-e-hizr mein
ik zakhm guzre waqt ki pehchan ho kar reh gaya
ruut ne mere charon taraf kheenche hisaar-e-baam-o-dar
yeh shehr phir mere liye zandaan ho kar reh gaya
kuch din mujhe awaaz di logon ne usske naam se
phir shehr bhar mein vo meri pehchan ho kar reh gaya
ik khwab ho kar reh gayin gulshan se apni nisbatein
dil reza reza kaanch ka gul-daan ho kar reh gaya
har sa'at-e-aaram-e-dil har lamha taskeen-e-jaan
bichade huye ik shaks ka paimaan ho kar reh gaya
khwahish toh thi 'sajid' mujhe tashiir-e-mehar-o-maah ki
lekin faqat main sahib-e-diwaan ho kar reh gaya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment