shabnam nahin mili na gire aasmaan ke phool
chadhti jawani sookh gaye gulsitaan ke phool
hum adhkhile rahe ke bahaaren nahin milin
ab kaise muskarayen ke hain hum khizaan ke phool
sookhe huye gulaab mile jab khuli kitaab
yun dil ke mere paas rahe mehrbaan ke phool
aansoo hamare hain ke sitare chamak gaye
dekho rukh-e jamaal par ye kahkashaan ke phool
raah-e adab pe chal diye le kar chiragh-e noor
sozaan hain rahguzar mein mere karwan ke phool
phoolen phalen mahakte rahen subho shaam roz
khushboo bikheren duniyan mein Hindostaan ke phool
hum phir kahenge tumse kisi roz aaye 'seraj'
hote nahin hain khatm meri dastan ke phool !
No comments:
Post a Comment