Wednesday, September 16, 2009

rokta hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe

rokta hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe
mere ashkon se chhupa le mere rukhsar mujhe
dekh ae dasht-e-junoon bhed na khulane paaye
dhoondhane aaye hain ghar ke dar-o-diwar mujhe
sii diye hont ussi shaks ki majboori ne
jis ki qurbat ne kiya maharam-e-asraar mujhe
meri ankhon ki taraf dekh rahe hain anzuum
jaise pehchan gayi ho shab-e-bedaar mujhe
jins-e-viraani-e-sahara meri dukaan mein hain
kya kharidega tera shahr ka bazaar mujhe
jaras-e-gul ne kai baar bulaya lekin
le gayi raah se zanjiir ki jhankaar mujhe
naavak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke khanjar-e-benaam se mat maar mujhe
saari duniya mein ghani raat ka sanaata tha
sehan-e-zindaan mein mile subah ke asaar mujhe

No comments:

Post a Comment

wel come