tujhe bhula ke mujhe yaad kuch raha hi nahi
ke jaise sare jahan main kuch aur tha hi nahi
khat unn ke naam mohata ka likh ke yaad aaya
sanam ke ghar ka mere pass toh pata hi nahi
gale laga ke har ek shaks roa pade lekin
hamare dil ka koi haal janta hi nahi
diyar-e-ishq main rakhte huye qadam socho
ke uss gali se palatne ka rasta hi nahi
yeh kaise keh doon ke acha hai zindagi ke liye
tamaam umar sakoon jab mujhe mila hi nahi
hamare gham mein woh aansu baha raha tha kyun
yeh raaz dil pe humare abhi khula hi nahi
woh kab se chod ke mujhko chala gaya
pe aisa lagta hai jaise ke woh gaya hi nahi
No comments:
Post a Comment