Tuesday, December 27, 2011

चिराग़-ए-दिल बुझाना चाहता था
वो मुझको भूल जाना चाहता था

मुझे वो छोड़ जाना चाहता था
मगर कोई बहाना चाहता था

सफ़ेदी आ गई बालों पे उसके
वो बाइज़्ज़त घराना चाहता था

उसे नफ़रत थी अपने आपसे भी
मगर उसको ज़माना चाहता था

तमन्ना दिल की जानिब बढ़ रही थी
परिन्दा आशियाना चाहता था

बहुत ज़ख्मी थे उसके होंठ लेकिन
वो बच्चा मुस्कुराना चाहता था

ज़बाँ ख़ामोश थी उसकी मगर वो
मुझे वापस बुलाना चाहता था

जहाँ पर कारख़ाने लग गए हैं
मैं एक बस्ती बसाना चाहता था

उधर क़िस्मत में वीरानी लिखी थी
इधर मैं घर बसाना चाहता था

वो सब कुछ याद रखना चाहता था
मैं सब कुछ भूल जाना चाहता था

Thursday, March 17, 2011

Wo kehta hai !


Wo kehta hai! Mujhe tumse pyaar bahut hai
Main kehti hu!
Mujhe teri baato par Aitbaar bahut hai..
Wo kehta hai!
LE jaunga tujhe sang Apney..
...Main kehti hu mujhe Us pal ka Intzaar bahut hai.
Wo kehta tha! kabhi socha na tha yun milenge.
Main kehti hu
Isme hamari Qismat ka haath bahut hai..
Wo kehta hai ki phoolo ke sab rang tumhare chehre par dikhte hai aaj.
MAin kehti hu!
ki mere liye to tumhara saath hi bahut hai..

Friday, February 25, 2011

chain milta he jab mei dekhun tujhe


chain milta he jab mei dekhun tujhe
darde dil bhi dhalaa sa lagtaa he
jab naa dekhun tujh ko mei sajaan
saraa alaam khizaan ye lagta he
ek pal ko kabhi judaa jo ho tu
jism rooh se judaa sa lagta he
tu judaa ho gaya gar mujh se
mar hi jayenge aesaa lagtaa he
bibbo karti he pyaar kyun aesaa
jo jahaan se judaa sa lagta he

Saturday, February 12, 2011

bebasi k lafz


Sach hi tou hai ki mujhe zarurat hai terri,
ye khaali khaali din ab sahe nhi jate,

main thak jati hu tujhe sochte sochte,
per apni bebasi k lafz tujhse kahe nhi jate,

ankhe nam rehti hai har pal merri,
terri judai k ansu ab bahe nhi jate..

Tuesday, December 21, 2010

ab ke saal december


wo raatain december ki ...
k jin main ....
hum raat raat bhar baatain kiya karty thy...
har lamha apny milan ki duain kiya karty thy....
woh december tumhary saath chala gaya hai...
ab k saaal december....
bilkul badal gaya hai....
isi liye tu jaana...
dil bhi mera ....
mar sa gaya hai....

Sunday, November 21, 2010

alvida


bas khatam hoti hai ye kahani
main de chala hun tujhe apni nishani,
dil ko na tadpana, mujhko bhool na jaana,
lekin mujhe yaad aana nahi,
apna tha main, begana nahin, ...
ye sach hai afsana nahi,
tune mujhe pehchana nahi,
ye parda uth jaaye, shayad yaad aa jaaye,
apna tha main, begana nahin, ...

kaho ab kya kahun tumse


kaho ab kya kahun tumse
batao kya likhun tumko
mujhe tamheed do koi
mujhe umeed do koi
naya ik lafz ho koi
jahan se baat chal nikle
meri mushkil ka hal nikle
batao lehja kaisa ho
ke tumse baat karni hai
kaho ab kya irada hai
mujhe izhar karna hai
ke tumko yeh batana hai
ke har pal yaad aate ho .......

Thursday, November 18, 2010

dil khush hua maszid-e-viran ko dekh kar

dil khush hua maszid-e-viran ko dekh kar
meri tarah khuda ka bhi khana kharab hai

apna toh chahton mein yeh hi ek usool hai

apna toh chahton mein yeh hi ek usool hai
tera bhala bura hamen sab qabool hai
yeh umr bhar ka jagna bekaar hi na jaaye
tu na mila toh saari riyazat fazool hai
khud hi kaha tha tune meri jaan chod de
...ab chod di toh kyun tera chehra malool hai

toh phir bimar kise kehte hain

Dil ko pta nahi ab ye k sans kise kehte hen
ye pyar nahi to jan phir pyar kise kehte hen

Roz rota he tanhai man,mil ke batata he mje
Pyar ho tum,ye izhar nahi ti izhar kise kehte hen

Mosamon man khizan ka door se bhi guzar nahi
Phol khilte hen,bahar nahi to bahar kise kehte hen

Tu chata he to aielan kar dun gan tere nam ka
Sab ke samne batana tashher nahi to ishtihar kise kehte hen

*

Meri aankhon ko talab tere siwa kisi ki nahi hoti
Masom Deedar ye nahi mehboob ka to deedar kise kehte hen

Har waqt guzarta mera bas teri yad man he
Marze ishq nahi to phir beemar kise kehte hen

Meri janib nazar bhar ke daikhne se bhi gaya
Inkare mohabbat nahi to phir inkar kise kehte hen

Maqfirat ke liae tere raste ke siwa rasta nahi dosra
Ro ro ke mangna talab nahi to talabgar kise kehte hen

bas mere pyar ki izzat karta

ek na ek roz toh rukhsat karta
mujhse kitni hi mohabbat karta
bhadyey mujhko kahan pa sakte
woh agr meri hifazat karta
sab ruuteN aa ke chali jaati hai
mausham-e-gham bhi toh hijrat karta
mere lehze mein garoor aaya tha
ussko haq tha ki shikayat karta
kuch toh thi meri khata, varna woh kyun
iss tarah tark-e-rafaqat karta
aur usse na rahi koi talab
bas mere pyar ki izzat karta

aakhir insan hun main, sabr-o-tahammul kab tak

aakhir insan hun main, sabr-o-tahammul kab tak
sainkdon sun ke bhi, do-char kahun ya na kahun ?

pucha jo ussne haal toh aankhon se tuut kar

pucha jo ussne haal toh aankhon se tuut kar
chotta sa ek ashq bada kaam kar gaya

shaikh karta toh hai maszid mein khuda ko sajde

shaikh karta toh hai maszid mein khuda ko sajde
usske sajdon mein asar ho, ye jaroori toh nahin

mushfiq likhun, shafeeq likhun, meharban likhun

mushfiq likhun, shafeeq likhun, meharban likhun
hairan hun aise dost ko alkaab[title] kya likhun

kisi ko apne alm ka hisab kya dete

kisi ko apne alm[dukh] ka hisab kya dete
sawaal saare galat thy, jawaab kya dete

rehbar ne raahzan se badhaai hai dosti

rehbar ne raahzan se badhaai hai dosti
manzil pe aa ke lutne ka imkaan[possiblity] abhi se hai

vahan tak mohbbat nibhaunga tujhse

vahan tak mohbbat nibhaunga tujhse
jahan tak muhabbat ka imkaan[existence] hoga

maszid mein imaam hua

maszid mein imaam[namaaz padhne wala] aaaj hua, aa ke vahan se
kal tak toh yahi "meer", kharaabaat_nashin tha

wel come