Sunday, December 7, 2008

kuch kar guzarne ki aag jeene nahi deti
kuch na kar paane ka ahsaas sone nahi deta
yakin ki chindgari ashk peene nahi deti
atal irada shikast pe rone nahi deta
zakhamo ke phool chuna karte hai agnai mein
hum tumhe yaad kiya karte hai tanhai mein
sukriya tera ada kaise karo ae dost
naam tera bhi samil hai meri rusvai mein
dil mujhko kis mukam par hai le aaya
jahan thera bhi nahi
waha se jayea bhi nahi jata
jiwan ki halat ho gayi hai uss chirag ki tarah
jo jalta bhi nahi
aur bhujaya bhi nahi jata
sochte hai ek vada humse kiya kyon tha
toda bhi nahi unnse
nibhaya bhi nahi jaata
maut ko kitne baar pukara hai magar
unnse aaya bhi nahi
aur hum se jayaya bhi nahi jaata
dekho kanha par aa gaya hai mod apni baat ka
ankh jhapkne lagi hai pichla pahar hai raat ka
hum jindgi ke khel se uth kar kabhi bhagay nahi
yun toh sada banta raha hai naksha hamari maat ka
dhadka kabhi dil bhi koi mana hamare vaste
hootho pe jo aaye nahi kiya mol hai uss baat ka
chup ho kar bhi baitho do ghadi hamare samne
ruk ruk ke jab paani gire tab hai maaza barsat ka
hargiz 'gulab' aise na woh lagte galay se aap ke
kuch aur hi jadoo houa hai iss dard ki saughat ka
pyar kar ke le li umar bhar ki be-basi
dil pe phir kaboo aaya aap par aane ke baad
kuch toh rahega dil mein kaskta houa zaroor
mana ki meri aad na aayegi mere baad
ye bebasi ki raatien ye bechaniya ye gham
ye pyar ki jalan kaha jayegi mere baad
ankhien utha kar aaj na dekho 'Gulab' ko
khushboo magar na doosri bhayegi mere baad
main apni hi uljhee hoi rahoon ka tamasha
jaate hai jidhar sab mein udhar kuon nahi jaata
main hosh mein tha toh ghar gaya kaise
ye zahar mere lahoo main utar gaya kaise
kuch lagawat toh zaroor thi varna
wo haath daba kar chala gaya kaise
ab ashk itne bah chuke ke ab koi ansoo hi na raha
ab tanhaiyan itni badh gai ke akela main na raha
guzrta hoon ab bhi wahi se magar wo manzar wo na raha
dost thay jab tum thay ab koi dost bhi na raha
woh manzil na rahi woh humsafar na raha
woh safar jin par hum chale thay woh safar na raha
woh bechani na rahi woh teri ankhoon ka sawal na raha
woh pal apne pyar ke,woh bekhudi ka saal na raha
pyar par bas toh nahi hai mera lekin phir bhi
tu bata de ke tujhe pyar karu ya na karu
mere khwabo ke jharokho ko sajane wali
tere khawabo mein kahin tera guzar hai ki nahi
jii mein aataa hai kii dein parde se parde kaa jawaab
ham se vo parda karein duniya se ham parda karein
ye karein yaa vo karein aisa karein vaisa karein,
zindagii dou din kii hai dou din mein ham kya kya karein,
jii mein aataa hai kii dein parde se parde kaa jawaab
hum se vo parda karein duniya se hum parda karein
sun raha hun kuch lutere aa gaye hain shehr mein
aap jaldi band apne ghar ka darvaza karein
iss purani bewafaa duniya ka rona kab talak
aaye mil-jul ke ik duniya naayi paida karein
ishq ke bhi kuch andaz hote nahi,
Jagti ankhon mein bhi khawab hote hai,
Zaroori nahi k gam mein ansu nikle,
Muskurati ankhon mein bhi sailab hote hain.
koi unse jakar pooche kra intazar kitna
wo dekhe aankho se tabhi to maloom ho hame unse pyar kitna
woh aakhri lamhoon main mujhe maang raha hai
yeh waqt hai aisa ke guzar kar nahi sakte
khud hath se apne usse khona hi padega
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakte
yoon apni nigahoon ko chora layte hain tujhse
ke dil ke iradoon ki khabar kar nahi sakte
tum khwaab jalate rahe ham aaj tak chup thay
ab dil ke yoon jalne par sabar kar nahi sakte
yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
iss noor ke darya par nazar kar nahi sakte
har chand ke meri aankh main aansoo hain larazte
jalte huye sholay iss par asar kar nahi sakte
Kisko maaluum kahaan kay hain kidhar kay ham hain

Apnii marzii say kahaan apne safar kay ham hain
Rukh havaaon kaa jidhar kaa hai udhar kay ham hain
Pehle har chiiz thii apnii magar ab lagtaa hai
Apne hii ghar mein kisii duusre ghar kay ham hain
Waqt kay saath hai mittii kaa safar sadiyon tak
Kisko maaluum kahaan kay hain kidhar kay ham hain
Chalte rehte hain kay chalanaa hai musaafir kaa nasiib
Sochte rehte hain kay kis raahaguzar kay ham hain
Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhode jo mere saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhege apne aur paraaye bhi
Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi
Kehta hai duniya mein chhod dega hume
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi
Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi
suna hai asar hota hai baaton mein
tum bhi bhul jaoge do char mulaqato mein
humse ruth kar jaoge kahan
tumhari dosti ki lakir hai inn hathon mein
koi unse jakar pooche kra intazar kitna
wo dekhe aankho se tabhi to maloom ho hame unse pyar kitna
lakh koshishein kari magar unko bhula saktey nahi
naksh pahli mohabbat ke mita sakte nahi
ab woh rownakey jazbat k un lamho zindai se bhula saktey nahi
meri zindagi me iske siva rakha hi kya hai
tere aaye hue un khao ko jala saktey nah ihai
unki ruswai ka dar mujhko bhe
is tarah tanhai me unko bhula saktey nahi
mujhe bewafa na kahna zamane walo
apni mohabbbat ko sabko dikha saktey nahi
kuch tadapte hue khayalo me tadapta hai ye dil
na jane kyo tanhaiyo me bikharta hai ye dil
aap ko paa lene ka khayal koi badi baat o nahi
par aapko kho dene ke dar se darta hai ye dil
wo mulaqat kuch adhuri si lagi
paas rah kar bhi doori si lagi
hotho par hansi aankho me nami
pahli baar kisi ki dosti itni zaroori si lagi
ruuth jatay ho toh kuch aur haseen lagtay ho
hum ne ye soch ke hee tum ko khafa rakha hai
tum jisey roota hua chor gaye thay ek din
hum ne us shaam ko seenay se laga rakha hai
chain lenay nahi detaye kisi taur mujhe
teri yadon ne jo tofan utha rakha hai
janay walay ne kaha thakeh wo lautay ga zaroor
ek issi aas pe dil ka derwaza khula rakha hai
Koi dost hai na raqeeb hai,
tera sehar kitna ajeeb hai.
Woh jo ishq tha woh junoon tha,
yeah jo hijre hai ye naseeb hai.
Yahan kiska chehra padha karoon,
yahan kaun itna kareeb hai.
Main kise kahoon mere saath chal,
yahan sab ke sar pe saleeb hai.
teri dua se kaza toh badal nahi sakti
magar hain is se yeh mumkin ke tu badal jaye
teri dua hai ke ho teri aarzoo poori
meri dua hai teri aarzoo badal jaye
Ek Din Fursat Mein Thaamein Haath Hamare
Le Gayi Uss Dagar Pe Jahaan Rehti Hai Bahaaren
Chal Diya Ham Bhi Ghar Se Ham Ke Kuchh Befikar Se
Dil Tha Apne Bharose Ham The Dil Ke Sahaare
na mil saki mohabbat teri hamay
fir bhi tujhise mohabat yeh dil karta toh hai
tum toh kar na sakay iqraar-e-mohabbat
lekin pyar ka izhaar yeh dil karta toh hai
har modd per siva dagaa kay kuch na diya tumne
fir bhi tere liye khuda se takraar yeh dil karta toh hai
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde
Tujhe Pyaar mera satayega
Yaadon ke toofan utthaye ga
Mera naam likh ker kitabon main
Tu logon ke darr se mitayega
Zikar mera aksar karne se pehle
Tu kuch soch ker muskuraye ga
Baatein meri yaad aayengi
Jitna tu unhain bhulaye ga
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe
Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga
Jis ne mujhe itna sataya hai
Us ka chain bhi koi churaye ga
bin baarish barasaat na hogi
raat gayi to raat na hogi
raaz-e-mohabbat tum mat puuchho
mujhase to ye baat na hogi
kisase dil bahalaaoge tum
jis dam meri zaat na hogi
ashq bhi ab naafaid huye hain
shaayad ab barasaat na hogi
yuun dekhenge ' aarif' usako
bich mein apani zaat na hogi

Monday, December 1, 2008

dil toh humne lagaaya hai aap chup kyun hai
daav yeh humne gavaya hai aap chup kyun hai
log kya kya nahi kehte hai humay duniya mein
aap ka naam bhi aaya hai aap chup kyun hai
yeh toh kahiye ki nazar koun hai khoi khoi hoi
behad kya humse chipaya hai aap chup kyun hai
nikal kar kaaba se
agar milta na meh-khana
toh thukraye houye insaan
khuda jaane kanha jaate ... !!!
mein jab bhi uss ki bahon mein
sar rakh ke soa gaya
duniya ke ranjo gam se
bahut door ho gaya
mahsoos hua chain mujhe
gam ki chuban se
aisa hasin haath hai ek
mere haath mein
mehboob-e-jindgi hai woh
tasveer pyar ki
basi hai khwabo mein
tabir pyar ki
chahat ke sabi rang milay
mujhe meri dulhan mein
mujhe gale se laga lo bahut uddas hoon mein
gam-e-jahan se chooda lo bahut uddas hoon mein
ye intzar ka dukh ab saha nahi jata
tadap rahi hai muhabat raha nahi jata
mujhe apne paas bula lo bahut uddas hoon mein
batak chuki hoon bahut jindgi ki rahon mein
mujhe aab aa ke chupa lo banhoo mein
mere sawal na taalo bahut uddas hoon mein
har ik saans pe milne ki pyas palti hai
sulag raha hai badan aur rooh jalati hai
bacha sakoo toh bacha lo bahut uddas hoon mein
hamare dil se na yoon door jaao humse milo
kabhi toh dard ka rishta nibhao humse milo
bus ik thayas lagi aur roa diye sahab
hamare dil ko lage kitne ghaav humse milo
ghooti ghooti se tamana luti luti se hayaa
hum iss ke baad bhi jeete hai aao humse milo
dekho kanha par aa gaya hai mod apni baat ka
aankh jhapkne lagi pichla pahar hai raat ka
hum jindgi ke khel se uth kar kabhi bhaage nahi
yoon toh sada banta raha naksha hamai maat ka
dhadka kabhi dil bhi koi maana hamaray vaastay
honto pe jo aaye nahi,kya mol hai uss baat ka
chup ho ke bhi toh do ghari batho nazar ke samne
ruk ruk ke jab pani giray tab hai maza barsat ka
hargiz 'gulab' aise na woh lagte galay se aap ke
kuch aur hi jadoo hua iss dard ki sugaat ka
behaki hui hai chaal koi dekhta na ho
aisa hamara haal koi dekhta na ho
hum chahtay hai pyar tera dekh le duniya
yeh bhi hai par khayal koi dekhta na ho
kya tu na khud ko bhi thaa dikhane ko bekrar
tab koun hai ye sawaal koi dekhta na ho
dum bhar kanhi nazar uljh hi gayi toh kya
dil ko jara sambhal koi dekhta na ho
koun fool raha hai aap hi,apne mein tu 'Gulab'
jab tera yeh kamal koi dekhta na ho
bin baarish barasaat na hogi
raat gayi to raat na hogi
raaz-e-mohabbat tum mat puuchho
mujhase to ye baat na hogi
kisase dil bahalaaoge tum
jis dam meri zaat na hogi
ashq bhi ab naafaid huye hain
shaayad ab barasaat na hogi
yuun dekhenge ' aarif' usako
bich mein apani zaat na hogi

wel come