Friday, January 2, 2009

one of his rare shair,

mundh gain kholte hī kholte ankhen ghalib
yaar lae miri baalin peh use par kis vaqt


shair by ghalib
abhi itna nahi hua hoon kamjor main,
ki chhupa na paoon dil ki bekarari apni.
kabu na rakh paoon is tanha dil per,
aadat itni bhi nahi maine bigadi apni.
aur phir koi aake tor de rishta apna
aisi bhi kachhi nahi yari apni,
mat karo mujhko shareek khushiyon me
muhe to chahiye bus gam me hissedari apni.
vada ker doon aur ker ke bhool jaoon
nahi kachha itna bhi vada apna.
yaad rakh loon per use nibha na paoon,
nahi kamjor hua itna irada apna.
aur hai vada nahi kuchh bhi kahoonga
bhale chehra hata, masum aur sada apna.
meri maut bhi bane khusi, taiyar hoon mai
bus khayal phir rakhna jara jyada apna.
Wo ped jin pe parindo ke ghar nahi hote
Buland bahut magar mautabar nahi hote
Aabroo raakh hui jaati hain angaaro ki
Surkhroo hoke bhee hasti hain gunahgaaro ki
तेरे क़दमों तले मेरा रोशन मुस्तक़बिल था
तेरी ही ठोकरों से मेरा नसीब बिखर गया....
'veer'
tere qadmon tale mera roshan mustaqbil thaa
teri hee thokron se mera naseeb bikhar gaya....
'veer'
rok dete hai sharriat ke takkaze varna
tere zikar ko har zikar se afzal kardo....
"na jaane kon sa aasheb dil mein basta hai
ki jo bhi thahra vo akhir mukaam chod gaya
haath seene pe rakh ke na dikhao mujhko
mere toote hoye dil ki vo sada yaad karo
maine maana ki vafadaar nahi hun,lekin
tum kisi aur ko iss tarah barbaad na karo"

Hamare mehboob sankdo hai
Tumhare sheda hazaroon hongay
Na tum se sikva na hum pe sikva
Gila karoge ! gila karengay
Bura kahoogay ! bura kahengay

Meine maana ki vafadaar nahi hoon lekin
Tum kissi aur ko iss tarah barbaad na karo
Hamari shart-e-wafa yahi ha, wafa karoge ! wafa karenge
Hamara milna hai aisa milna mila karoge ! mila karenge

Hamara pina pilana kiya hai ?
Hamara pina pilana ye hai
Pilogay tum ! pilaengay hum
Piya karoge ! piya karenge

Ye poochna ki kiya khat likhoge ?
Ye pochnay ki nahi zaroorat
Tumhari marzi pe hai munhsar
Likha karoge ! likha karenge
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye
rabba koi toh bataye, pyar hota hai kya
jaisa mujhe ho gaya,sab ko hota hai kya
rabba koi toh bataye,chain hota hai kya
jaisa mera kho gaya, sab ka kho'taa hai

khayalo ke baago mein, main jab khadi thi
tabhi ek gul ne aawaz di thi....................
kali si mehakne lagi tu kyu gori.....................
chalkne lagi kyu ye gaagar kori...............
phool poochta raha, main sochti rahi....................
raat dhalti rahi, main sochti rahi................
rabba koi toh bataye, roop hota hai kya............
jaisa mera khil gaya sab ka khilta hai kya.................

hum toh ooche gagan mein uddne lage...........
ek dooje se jaise judne lage..............................
rabba koi toh bataye, meet hota hai kya...........
jaisa mujhe mil gaya sab ko milta hai kya...............
der lagi aane mein tumko
sukar hai phir bhi aaye toh..........
aas ne dil ka saath na choda
waise hum ghabraye toh.............
betaab dil thaa,bechain aankhien
khud se khaffa hum rehne lage thay
haalat hamari wo hogai thi
paagal hume log kehne lage thay
ab ek pal bhi bichadye na hum tum
waqt agar ruk jaye toh................
aas ne dil ka saath na choda
waise hum ghabraye toh..............
nakhuda maan ke baithe hai jinki kashti mein,
woh hume maujo mein le aye hai dubone ke liye,
woh hawaon ki tarah rukh badal lete hai,
hum naseebon se ladhe the jinhe pane ke liye.
Karni khuda se ek fariyad baki hai...
mere mann mein ek murad baki hai...
maut ayegi toh keh denge khuda se...
MERE DOST SE MERI EK MULAQAT BAKI HAI
toot jaate hai sabhi riste magar
dil se dil ka rabta apni jagah
dil ko hai tujhse na milne ka yakeen
tujhse milne ki dua apni jagah
ek shakhs paas reh kar bhi samajha naheen mujhe
iss baat ka malaal hai shikva nahin mujhe
main usko bewafai ka ilzaam kaise doon
uss ne to ibteda sey hi chaha nahin mujhe
kya kya umeedein bandh ke pohncha tha samne
uss ne toh aankh bhar ke bhi dekha naheen mujhe
patthar samajh ke paaon ki thokar bana diya
afsos teri aankh ne parkha nahin mujhe
mujhko bhi theharna na tha uss ke nagar main ab
achha hua ke usne bhi roka nahin mujhe
jindgi mein log bohat jaan nisaar they
main mar gaya to koi bhi roya nahin mujhey
"dil jab toot'ta hai toh aawaz nahi aati
har kisi ko muhabat raas nahi aati
ye toh apne naseeb ki baat hai
koi bhulata hi nahi aur kisiko yaas hi nahi aati !!"
"दिल जब टूटता है तो आवाज़ नहीं होती
हर किसी को मुह्बत रास नहीं आती
ये तो अपने नसीब की बात है
कोई भूलता ही नहीं और किसीको याद ही नहीं आती !!"
आज फिर दिल का जाम तोड़ आया हूँ
किसी की महफिल में तन्हाई छोड़ आया हूँ
कोई पूछे न हमसे यह हाल हुआ कैसे
बेहाल ए जिस्म किसी की निगाहों में छोड़ आया हूँ !
मत देख कि कोई शख्स गुनाहगार कितना है,
ये देख कि तेरे साथ वफ़ादार कितना है,
ये मत सोच कि उसे कुछ लोगों से नफ़रत है,
ये देख उसको तुझसे प्यार कितना है !
lamha lamha sansien khatam ho rahi hai
jindgi maut ke pahoo mein so rahi hai
uss bewaffa se mat poocho meri maut ki wajah
vo to bas jamane ko dikhane ke liye ro rahi hai
लम्हा लम्हा साँसे ख़तम हो रही है
जिनदगी मौत के पहलू में सो रही है
उस बेवफा से मत पूछो मेरी मौत की वजह
वो तो बस ज़माने को दिखाने के लिए रो रही है
आँखे तक रही है सूनी राहों को, इन्तजार किसका है
किससे रखे हम वफ़ा की उम्मीद, ऐतबार किसका है
हम जानते है की मिलता है इश्क में सिर्फ जख्म
फिर भी अपने दिल पर अपना अधिकार किसका है
खींच लाये जो मुझे मौत से ज़िन्दगी की तरफ
आज के दौर में इतना पावन प्यार किसका है
बसा ले जो तुझे अपने तन मन में ऐ "ब्रह्मा"
इस कदर दिल आज इतना बेकरार किसका है
तुम दवा दो या अब दे दो ज़हर ही मुझको
ऐसी हालत में मरने से आज इनकार किसका है
tu kahin bhi rahe, tujh par yeh ilzaam toh hai,
tere haathon ki lakeeron me, mera naam toh hai,
tu mujhe apna maan ya naa maan,
tu zamaane mein mere naam se badnaam toh hai
majboori kya thi unhone batai to hoti
judai ki baat yun sunai na hoti
apne kabar ki mitti bhi de dete unnhe
meri maut ki khwaish jatayi toh hoti.......
yu mile ki mulaqat na ho saki,
honth kaanpe magar suruat na ho saki,
meri har nigah ek dastan keh gayi,
aur unki sikayat hai ki koi baat na ho saki
mujhe darr hai kahi wo hadso se darr nahi jaye,
mujhe darr hai akela hai kahi kuch karr nahi jaye,
khuda meri duao me ashar itna to rakh dena,
agar wo dubna chahe to dariya hi utar jaye...
tere dil-ye-khas se mohabbat ki hai
tere ehsas se mohabbat ki hai
tu pass nahi hai fir bhi teri yaad se mohabbat ki hai
mai tumhe kis tarah bhul sakta hu
maine teri pyas se mohabbat ki hai
kabhi tune bhi mujhe yaad kiya hoga
maine un lamhat se mohabbat ki hai
jin mai ho sirf teri meri batein
maine us waqt se mohabbat ki hai
or jo mehka ho teri hi khushboo se
us zazbaat se mohabbat ki hai
tujhse milna to ab khawab sa lagta hai
maine tere intzaar se mohabbat ki hai
कुछ खताये हमेसे हो गयी तो भूल जा
सिर्फ इतनी सी खतासे रूठ के ना दूर जा
हम तो जुदा होके तुजसे ना जी प्येंगे
ये जान के भी तू जी पाये तो जरुर जा
अरमां है, तुम्हारे दर्दे गम की दवा हो जाऊँ
कभी फूल, कभी शोला, कभी शबनम हो जाऊँ

तुम्हारी आँखों में रचूँ - बसूँ, तुम्हारे दिल में रहूँ
तुमसे दूर होने की सोचूँ, तो तनहा हो जाऊँ

हर मुहब्बत दुलहन बने, जरूरी तो नहीं
इश्क इबादत है मेरी, कैसे मैं खुदा हो जाऊँ

मुझसे हँस -हँस के लोग पूछते हैं नाम तुम्हारा
खुदा का नाम बता दूँ और रुसवा हो जाऊँ

तुम्हारा प्यार समंदर है, डूबा जा रहा हूँ मैं
रोक लो मुझको इससे पहले मैं फ़ना हो जाऊँ

ग़म ने खुद आके दिया है सहारा मुझको
मैंने कब माँगा था हाय कि मैं उसका हो जाऊँ
shikva shikayat ki toh bura maan gaye
ghamo ka izhaar kiya toh bura maan gaye
khud toh har roz rulaata tha
ek din humne rulaya toh bura maan gaye
woh kar raha tha apni waffaon ka tazkara
dekha mujhe to baat ka pehloo badal gaya
dil mein hota toh mumkin tha
nikaal bhi deta
ab toh vo shaks
bahut duur talak hai mujh mein........

ghum nahi bhulta bhulane se
nam hoi ankhay muskurane se
aaj wo ajnabi sa lagta hai
jantaa hun jisse zamane se
doston ki parkh nahi karna
mann tootega aazmane mein
jab se apno se choot khai hai
koi shikwa nahi zamane se
meri aankhon pe merta tha
meri baaton pe hasta tha
na jaane shaks tha kaisa
mujhe khone se darrta tha
mujhe jab bhi wo milta tha
yahi har baar vo kehta tha

Suno !

agar main bhool jaaon toh....
agar main rooth jaaon toh....
kabhi vapis na aaon toh....
bhula paogi ye sab kuch
yunhi hasti rahogi kya
yahi baatien hai bas uss ki
yahi yaadien hai bas uss ki

mujhe bas itna pataa tha
mujhe vo pyar karta tha
mujhe khone se darrta tha
zindgi toh apne hi kadmo pe chalti hai "faraz"
auro ke sahare toh janaaze utha karte hai
uthana khud hi parta hai thaka tuta badan apna
ke jab tak saans chalti hai koi Kandha nahi deta
kisi se be-sabab uljha nahi tha
wo pehle toh kabhi aisa nahi tha
bahut aala thaa uss ka zaraf, lekin
wo meri zaat ko bilkul samjha nahi tha
vo jis be-rukhi se chal para tha
main itna bhi toh gaya guzra nahi tha
main uss ko kyun bura thehraon dil
vo toh bahut achcha tha, faqat mera nahi tha......
na shikayatein kare na gila kare
koi aisa shakhs hua kare...
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se batein kia kare

kabhi roye jaiye woh be panah
kabhi be tahasha udaas ho...
kabhi chupke chupke dabey qadam
mere peeche aaker hassa kare

meri qurbatein meri chahetin
koi yaad kare qadam qadam..
main taveel safer mein hoon ager
meri wapsi ki dua kare .... !!
har pal teri yaad hai aur kuch nahi
har pal teri aas hai aur kuch nahi
main tanha tanha kab tak phirta rahoon
bas zindgi bhar tera saath ho aur kuch nahi
ya rab ! dikha teri kudrat ka koi jalwa
tune jo dil mein pyar jagaya hai
mujhe uss ki talab hai aur kuch nahi

wel come