Monday, November 24, 2008

adeem ki shayyiri

uss ne kaha ke hum bhi kharidaar ho gaye
toh bikne ko saare log hi tayyar ho gaye.
uss ne kaha ke ek vafadaar chahiye
saare jahan ke log vafadaar ho gaye
uss ne kaha ke koi gunahgaar hai yahan
jo paarsaan thay vo bhi gunahgaar ho gaye.
uss ne kaha ke aajiz-o-miskin[troubled] hai koi
sab log gard-e-kuucha-o-bazaar ho gaye
uss ne kaha ke kaash koi jangjuu[fighter] milay
aapas mein hi yaar, barsar-e-paikaar[engaged in battle] ho gaaye.
uss ne kaha "Adeem" mera haath thaamna
chaaron taraf se haath namuudaar ho gaye

No comments:

Post a Comment

wel come