Ker leya hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna usse
jis pe hum chalte rahen hain saath saath
ko gaya woh Rasta kehna usse
teri yaaden dil se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna usse
abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may samjha chuka kehna usse
chain se sone na dega Ghum tujhe
raat bher abb jagna kehna usse
aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek khuwab tha kehna usse
No comments:
Post a Comment