ye baaten jhoothi baaten hain, jo logo ne phalai hain
tum "insha" ji ka naam na lo, kya "insha" ji saudai hain!
hain lakho log zamane mein, kyun ishq hai ruswa bechara!
hain aur bhi wajahen wahshat ki, insaan ko rakhti dukhiyara
haan ! bekal bekal rehta hai, ho preet mein jisne dil haara
par sham se le kar subah tak, yun kaun phire hai aawara !
gar ishq kiya hai tab kya hai, kyun shaad nahi aabaad nahin
jo jaan bhi uffvaad nahin, jo jaan liye bin taal na sake !
ye aisi bhi uffvaad nahi, ye baat toh tum bhi maanoge
ye kaish nahin, farhaad nahin, kya hijar ka daaru muskil hai
kya vasal ke nuskhe yaad nahi, jo humse kaho hum karte hai
kya "insha" ko samjhana hai ! uss ladki se bhi keh lenge
ye ab kuch aur zamana hai, ya chodo ya takmeel karo
ye isha hai ya afshana hai, ye kaisa gorkh dhandha hai !
ye kaisa taana baana hai !!, ye baaten jhoothi baaten hai !!!
jo logo ne phelai hain,,,,,,,,,,,,,,,,,, !!!!
No comments:
Post a Comment