gamza [nakhra] nahi hota ki ishara nahin hota
aankh unnse jo milti hai toh kya kya nahi hota
jalwa na ho maani ka toh surat ka asar kya
bulbul gul-e-tasveer ka shyada[chahna] nahin hota
allah bachaye marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki
ye aarzaa[bimari] achcha nahi hota
tashbeeh[misaal] tere chehre ko kya dun
gul-e-tar se hota hai shgufta magar itna nahin hota
main nizaa[maut ka samay]mein hun, aayen toh ehsan hai unnka
lekin ye samjh len ki tamasha nahin hota
hum aah bhi karte hain toh ho jaate hain badnaam
vo katal bhi karte hain toh charcha nahin hota
No comments:
Post a Comment