nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Sunday, December 21, 2008
hafeez ki shayyiri
hawa bhi khush gawar hai, gulo pe bhi nikhaar hai taranum hazaar hai, bahaar par bahaar hai kahan chala hai sakiya idhar toh laut idhar toh aa arre ye dekhta hai kya utha subu[surahi], subu utha subu utha payala bhar, pyala bhar ke de idhar chaman ki simat kar nazar, samaa toh dekh be-khabar vo kali-kali badliyan uffak pe ho kahin ayaan[appear] vo ik hazume-mai[shrabio ki bheed] kashan hai suye-mehkada[madhushala ki aur] ravan ye kya guman hai bad-guma, samjh na mujhko natvaan khayale zohid[pooza-paath karne ka vichar] abhi kahan abhi toh main jawan hun
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment