ye tasalli hai ke hain nashaad sab
main akela hi nahin barbaad sab
sabki khatir hain yahan sab
ajnabi aur kehne ko hain ghar aabad sab
bhool ke sab ranjishen sab ek hain
main bataoon, sabko hoga yaad sab
sab ko dava-e-wafa,sabko yaqeen
iss adaakari mein hain ustaad sab
shehr ke hakim ka ye farman hai
qaid mein kehlayenge aazad sab
char lafzon mein kaho jo bhi kaho
ussko kab fursat sune fariyaad sab
talkhiyan kaise na ho aashaar mein
hum pe jo guzri hamen hai yaad sab
No comments:
Post a Comment