nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Monday, December 22, 2008
zamil ki shayyiri
aap mein guum hai magar sab ki khabar rakhte hai ghar mein baithe hai zamane pe nazar rakhte hai nuktaachiin dekhiye kis kis pe nazar rakhte hai hum se ab ae gardish-e-dauraan tumhe kya lena hai ek hi dil hai so vo zer-e-zabar rakhte hai jis ne tiira-ujaalo ka bharm rakha hai apne seene mein vo na-deeda sahar rakhte hai rehnuma kho gaye manzil toh bulati hai hamen paanv zakhmi hai to kya zauq-r-safar rakhte hai vo andhero ke payamber hai toh kya gam hai 'zamil' hum bhi ankho mein kai shams-o-qamar rakhte hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment