Sunday, January 18, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

mujhse kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya
dil tujhe de ke dhadka toh khuda yaad aaya
charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata
kisne insaan ko tabsuum[smile] ke liye tarsaaya
nazar karta raha main phuul ke zazbaat usse
jisne pathar ke khilon se mujhko behlaaya
usske andar koi fankaar chhupa baitha hai
jaante-bhujte jis shaks ne dhokha khaya

No comments:

Post a Comment

wel come