Friday, January 2, 2009

Jaane kyu vo saanso ki dorr tootne nahin deta
bas kadam aur chalne ka vaasta de kar mujhe rokne nahin deta
baat kehta hai vo mujh se hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko cheyn se rone nahin deta
aaj haunsla deta hai mujhe chand sitaaron ko chu lene ka
vo pyaara sa chehra mujhe toot kar bikharne nahin deta
shaayad jaanta hai vo bhi inn aankhon mein aansuo ka sailaab hai
jaane kyu phir bhi vo inn aansuo ko girrne nahin deta
mujh se kehta hai mein toh marr jauga tumhare bina
mein zinda hu ab tak vo mujhe marne nahin deta

No comments:

Post a Comment

wel come