teri tasveer meri ankhon mein basi kyun hai
jidhar dekho bas udhar tu hi kyun hai
teri yaadon se wabsta meri takdeer hai lekin
tujhe na pa kar meri takdeer roothi kyun hai
mujheko hai khabar asaan nahi tujhe haasil karna
phir bhi ye intzaar ye bekraari kyu hai
barson guzar gaye mere tanhai mein lekin
meri baahon ko aaj bhi tera intzaar kyu hai
teri chahat ki kasam khoon ke aanso roya hun
ab nahi hai kuch baki ye afsana ek bat bata do lekin
anjaam tha maloom mujhko phir bhi ye muhabat kyun hai
No comments:
Post a Comment