Wednesday, March 18, 2009

aamir ki shayyiri

aaj ki raat bhi guzari hai meri, kal ki tarah
haath aaye na sitare tere, aanchal ki tarah
raat jalti hui ik aisi chita hai jis par
teri yaaden hain sulgate huye, sandal ki tarah
tu ik dariya hai magar meri tarah payasa hai
main tere paas chala aaonga, baadal ki tarah
main hun ik khawab magar jaagti aankhon ka 'amir'
aaj bhi log ganwa den na mujhe, kal ki tarah
haath aaye na sitare........

No comments:

Post a Comment

wel come