na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
duboya mujhko hone ne na hota main to kya hota
hua jab ghum se yun behis to ghum kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se to zanon par dhara hota
hui muddat ke 'Ghalib' marr gaya par yaad ataa hai
vo har ek bat pe kehna ke yun hota to kya hota
No comments:
Post a Comment