na main paas usko bula saka na mein dil ki baat bata saka
vo hansi hansi mein hi chal diya main haath tak na mila saka
mujhe kiya khabar wo kya hua mujhe kitna gehra khumar tha
main Khada tha usske hisar mein mere ird gird ghubar tha
yunhi sochta raha der tak magar ussko na kuch bata saka
na main paas ussko bula saka na mein dil ki baat bata saka
na hai dushmani kisi din se ab na hai dosti kisi raat se
hai bacha hi kiya jo wo le gaya mujhe cheen kar meri zat se
ye maqam hi tha ajeeb sa ke main khud ko bhi na pa saka
na main paas ussko bula saka na mein dil ki baat bata saka
ye bhi theek hai wo chala gaya mujhe band raste pe chod kar
ye bhi theek hai ke na aayega kabhi buut ana ka tod kar
vo juda bhi kaise hua ke mein koi rasam bhi na nibha saka
na main paas ussko bula saka na mein dil ki baat bata saka
No comments:
Post a Comment