kaanton ki chubhan paayi, phoolon ka maza bhi
dil dard ke mausam mein roya bhi hasa bhi
aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai
vo dil mein raha aur usse tod gaya bhi
har ek se manzil ka pata pooch raha hai
gumraah mere saath hua rahnuma bhi
'gumnaam' kabhi apno se jo ghum huye haasil
kuch yaad rahe unn mein toh kuch bhuul gaya bhi
No comments:
Post a Comment