Wednesday, March 18, 2009

sham-e-mazaar thi na koi sogwaar tha
tum jis pe roa rahe thay wo kiska mazaar tha
tadpunga umar bhar dil-e-marhoom ke liye
kambhakht na-muraad ladakpan ka yaar tha
jaadoo hai ya tilism tumhari jubaan mein
tum jhooth keh rahe thay mujhe aitbaar tha
kya kya hamari sazde ki ruswaayian huyeen
naksh-e-kadam kisi ka sar-e-rehguzar tha

No comments:

Post a Comment

wel come