Wednesday, March 18, 2009

kissi se pyar karta hun toh hamesha haar jaata hun
main jitni baar karta hun, hamesha haaar jaata hun
kabhi shaam se pehle kisi jaana ki ankhon se
ye ankhien char karta hun, hamesha haar jaata hun
kabhi kissi mehfil mein waffa ki gufagu par
jab takraar karta hun, hamesha haar jaata hun
nigahon mein toh dosroon se baazi jeet jaata hun
toh jab izhaar karta hun, hamesha haar jaata hun
ke shayad iss dafa koi mujhe apna bana le
hamesha pyar karta hun, hamesha haar jaata hun

No comments:

Post a Comment

wel come