main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
iska matlab yeh nahi ki main tujhe pyar nahi karta.....
chahta hun main tujhe aaj bhi par,
teri soch mein apna waqt bekaar nahi karta.....
tamaasha na ban jaaye kahi mohabbat ka meri,
isliye apne dard ko zaahir nahi karta....
jo kuch milaa hai usi mein khush hun main,
tere liya khuda se takrar nahi karta....
par kuch toh baat hai teri fitrat mein zaalim,
warna tujhe chahne ki khaata baar-baar nahi karta
No comments:
Post a Comment