Tuesday, March 17, 2009

nusrat atta-ullah khan

naseem-e-subah tu itna unhen bata dena
labo pe jaan hai, surat zara dikha dena
mila na dena tamana ye khak mein meri
na hasraton ke gale par chhuri chala dena
janaza mera tehbaa mein aaj thehra kar
azeezo rukh se kafan ko zara hata dena
tumhare haar ke, baasi jo phool ho unnko
mazar-e-aashiq-e-laashaad par chada dena

khayal rakha ae meri maiyat utte, mera koi lagda na rove
karo kafan dafan di bahot jaldi, mat'ta khabar aye sajan nu pove
oh ! vi la ke mehndi sagna di, meri maiyat te aan khalove
khurshid da pakki kera si, je ohda hiq athru dig paave

ishq mein hum tumhen kya batayen
kis kadar chott khaye huye hain
maut ne hum ko maara hai aur hum
zindgi ke staye huye hain

ussne shadi ka joda pehan kar
sirf chuma tha mere kafan ko
bas uss din se jannat ki huryen
mujhko dulha banaye huye hai

zindgi mein na raas aayi rahat
chaiin se ab sone do lehad min
ae farishto ! na chhedo, na chhedo
hum jahan ke sataye huye hain

bikhri zulfe, pareshan chehra
ashk aankhon mein aaye huye hai
ae ! ajal thehr ja chand lamhen
vo aiyadat ko aaye huye hai

surkh aankhon mein kajal laga hai
rukh pe vaada sajaye huye hai
aise aaye hai maiyat pe meri
jaise shadi pe aaye huye hai

unnki taarif kya puchte ho
umar saari gunaahon main guzri
parsaan ban rahe hai woh aise
jaise ganga nahye huye hai

alhad apni mitti se keh de
daag lagne na paaye kafan ko
aaj hi humne badle hai kapde
aaj hi hum nahaye huye hai

dafan ke waqt sab dosto ne
ye chukaya muhabat ka badla
daal di khak mere badan par
ye na socha nahaye huye hain

shraab main iss liye filhaal nahin peeta
ki naap tol kar peena mujhe pasand nahin
tere wajood se angadayi le kar niklega
vo mai_kada abhi bottle mein bandh nahin

na ab muskurane ko jii chahta hai
na aanso bahane ko jii chahta hai
hasin teri aankhein, hasin tere aanson
bas yahin duub jaane ko jii chahta hai

dekh saaki tere mai_kade ka
ek pahuncha hua rind hun main
jitne aaye hai maiyat pe meri
sab ke sab hi lagaye huye hai

kya hai anjaam-e-ulfat patango
ja ke shama ke nazdeek dekho
kuch patango ki laashe padi hai
parr kisi ke jalaye huye hai


khoi khoi si bechaiin aankhein
bekrari hai chehre se jaahir
ho na ho aap bhi shekh sahib
ishq ki chot khaye huye hai

No comments:

Post a Comment

wel come