nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Wednesday, March 18, 2009
pichhle baras yeh darr tha, kahi tu judaa na ho
ab ke baras duaan hai tera saamna na ho
saamna na ho gujre jidhar se tu, woh mera raasta na
achha meri wafaaon ka tune sila diya yeh kya
kiya ke khaak mein mujhko mila diya
surmaa samajh ke gair ko aankhon mein di jagah
aansu samajh ke mujhko nazron se gira diya
mehboob yun kisika koi bewafaa na ho
tere sitam ki dastaan kisko sunaaun main
tune diye jo zakhm woh kisko dikhaaun main
ab aaise mod par hai meri zindagi jahaan
yeh bhi bahut hai agar tujhko bhul jaaun main
jo mujhse hui aaisi kisise khata na ho
tirath nahi hai jismein woh surat fizul hai
khushbu agar na ho toh woh kaagaz ka phool hai
yeh dil kabhi na dhadkega ab tere naam se
tera usool hai to mera bhi usool hai
iss zindagi mein tujhse kabhi vaasta na
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment