meri aql-o-hosh ki sab haaltien
tumne saanche mein junoon ke dhaal di
kar lia tha maine ahd-e-tark-ishq
tumne phir baahien gale mein daal di
yun toh apne qaasidaan-e-dil ke paas
jaane kis kis ke liye paigaam hai
par likhe hai maine jo auron ke naam
mere vo khat bhi tumhare naam hai
hai muhabat, hayyat ki lazzat
varna kuch lazzat-e-hayaat nahi
kya izazat hai, ek baat kahoon
vo,,,,magar,,,,khaiir, koi baat nahi
sharm, dahshat, jhijhak, pareshaani,
naaz se kam kyun nahi leti !
aap! vo! jee! magar!,,,,,,ye sab kya hai
tum mera naam kyun nahi leti !
No comments:
Post a Comment