mausam bahaar mujhko bikherne nahin deta
tashna jigar hai, mujhko sanwarne nahin deta
ehsaas-e judaii mujhe jeene nahin deti
phir milne ka wada mujhe marne nahin deta
chahat tujhe pane ki huee deir se sozaan
zalim zamana had se guzarne nahin deta
chamki agarche barq mere hi makaan par
hai shukr Khuda, ghar ye ujadne nahin deta
har lafz kitabon ka tera aks liye hai
ek phool sa chehra mujhe padhne nahin deta
ek dost mera aaj bhi aesa hai ke "seraj"
rone bhi nahin, aah bhi bhar-ne nahi.n deta !
No comments:
Post a Comment