Tuesday, March 17, 2009

usse anjaan raston se guzar jane ki khwahish thi
mohabbat mein amar ho jane mar jane ki khwahish thi
vo kehta tha jiwaan teeragi hai
aur hamein is teergi mein rung bharne hain roshni ke
aur ye humko mukhtasir se chand lamhe jo mayasser hain
ye lamhe hamein mohabbat-e-abad karne hain
kisi ko door se dekhna hai aur kisi se baat karni hai
jahan ye din guzar jayen wahin pe raat karni hai
vo kehta tha mohabbat ka koi mausam nahi hota
ye har mausam ka jazba hai jo kabhi kum nahi hota
mohabbat ko naye dhub se basar karne ki khwahish
usay shab bhar jagati hai
najane kaunsi chahat usse har pal rulati hai
shanasa tha par har ek se bahut anjan rehta tha
bahut abaad tha lekin bahut weeran rehta tha
usse har shakhs ko hairan kar jane ki khwahish thi
mohabbt mein amar ho jane marr jaane ki khwahish thi

No comments:

Post a Comment

wel come