ye ab khula hai ke koi bhi manzar mera na tha
main jis mein rah raha tha vahi ghar mera na tha
main jis ko ek umar sambhaale phira kiye
mitti bata rahi vo paikar mera na thaa
mauj-e-havaa-e-shahar-e-muqaddar javab de
dariya mere na the ki samandar mera na tha
phir bhi toh sang saar kiye jaa raha hun main
kehte hain naam tak sar-e-mahzar mera na tha
sab log apne apne kabilon ke saath thay
ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha
No comments:
Post a Comment