vo bhi kya log thay aasan thi raahen jinki
band aankhen kiye ik simit chale jaate thay
aql-o-dil khwab-o-haqiqat ki na uljhan na khalish[pain]
mukhtalif[diff. types] jalwe nigahon ko na behalate thay
ishq saada bhi tha bekhud bhi junoon-pesha bhi
husn ko apni adaaon pe hijaab aata tha
phool khilate thay toh phulon mein nasha hota tha
raat dhalti thi toh sheeshon pe shabaab aata tha
chandni kaif asar ruuh-afzaa hoti thi
abr aata tha toh bad-mast bhi ho jaate thay
din mein shorish bhi hua karti thi hamgame bhi
raat ki god mein munh dhaanp ke so jaate thay
No comments:
Post a Comment