Friday, April 17, 2009

shahid shaidaii ki shayyiri

zahan-e-aadamiyat par maslahat ke pehare hain
log jitne mukhlis hain zakhm utne gehre hain
phool hain yahan kaante, zism hain yahan pathar
kis jahan ke vaasi thay, kis nagar mein thahare hain
zindgi ka darwaza khatkhata ke dekha hai
iss makaan ke maalik, mar chuke ya behare hain
muzrim-e-muhabat hai sher ki adaalat mein
soch ke salaasal hain, dard ke katahare hain
kiske tan ki rangini mauj-zan hai seene mein
aankh bhi gulaabhi hai, ashk bhi sunahare hai
bhegti hawaon ke dosh par chale aao
ghaas ke samandar par sabz-sabz laharen hain
kaise main adab ki had faand kar piyoon 'shahid'
ras bhari unn aankhon par jab hayaa ke pehare hain

No comments:

Post a Comment

wel come