Friday, April 17, 2009

yaas yagaana changezi ki shayyiri

mujhe dil ki khata par 'yaas' sharmana nahin aata
paraaya zurm apne naam likhvana nahin aata
bura ho paa-e-sar_kash[disobedient feet] ka ki thak jana nahin aata
kabhi gumraah ho kar raah par aana nahin aata
mujhe ae nakhuda aakhir kisi ko munh dikhana hai
bahana karke tanha paar utar jana nahin aata
museebat ka pahaad aakhir kisi din kat hi jayega
mujhe sar maar kar teshe[axe] se marr jana nahin aata
aseero shauq-e-aazadi mujhe bhi gudgudata hai
magar chaadar se baahar paanv phailana nahin aata
dil-e-behausla hai ik zara si tees ka mehmaan
vo aansu kya piyega jisko gam khana nahin aata

No comments:

Post a Comment

wel come