kya puchhte ho, aaj se pehle kahan rahe
puchho,makaan mila bhi toh kyun la-makaan rahe
aisa niyaaz peshe-khudavandgaane naaz
kahiye zamin pe kyun na teh-e-aasman rahe
maznon ko apni manzile-maksood mil gayi
usski bala se naakraaye-laila rawa'n rahe
kaba se butkada bhi toh allah ka ghar bana
kyunn sar zamin-e-paak mukaam-e-bataa'n rahe
shirini-e-biyaan na sapar ban saki 'hafiz'
aamjagah-talkhiye-ahle jaban rahe
No comments:
Post a Comment