varq hai mere sahife ka, aasman kya hai
raha yeh chand toh shayad tumhara chehra hai
jo puchta tha meri umar usse keh dena
kisi ke pyar ke mausham ka ek jhonka hai
fiza ki shaakh pe lafzon ke phool khilne do
jise sukuut smaajhte ho zard patta hai
mere qadam bhi koi shaam kaash le leti
mera safar bhi toh suraj ki tarah tanha hai
zaroor chand ke honton pe mera naam aaya hoga
meri mizhah se siaara sa koi toota hai
har ek shaks ko ummid ussi se hai
tamaam shehr mein voh ek hi toh rusva hai
No comments:
Post a Comment