ghar jab bana liya hai tere darr par kahe bagaiir
jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe bagaiir
kehte hain, jab rahi na mujhe taaqat-e-sukhan[strength to speak]
jaanu kisi ke dil ki main kyunkar kahe bagaiir
kaam us'se aa pada hai ki jis ka jahan mein
lewa na koi naam 'sitamgar' kahe bagair
ji mein hi kuch nahin hai hamare, varna hum
sar jaaye ya rahe, na rahein par kahe bagair
chodunga main na uss buut-e-kaafir ka poojna
chode na khalqgo mujhe kaafir kahe bagaiir
maqsad hai naaz-o-ghamza, wale guftagu mein kaam
chalta nahin hai, dashna-o-khanjar kahe bagair
har chand ho mushaahit[God]-e-haq ki gufagu
banti nahin hai baada[wine]-o-saagar kahe bagair
behra hun main toh chahiye doona ho iltafaat[mercy]
sunta nahin hun baat muqarrar[again] kahe bagair
"ghalib" na kar hazoor mein tu baar-baar 'arz
zaahir hai tera haal sab unn par kahe bagaiir
No comments:
Post a Comment