Friday, May 29, 2009

hasrat ki shayyiri

phir bhi hai tum ko maseehai ka dava dekho
mujhko dekho, meri merne ki tamanna dekho
zurm-e-nazara pe kaun itni khushamad karta
ab woh roothe hain lo aur tamasha dekho
do hi din mein woh baat hai na woh chah na pyar
humne pehle hi ye tumse na kaha tha dekho
hum na kehte thay banavat hi hai sara gussa
hass ke lo phir woh unnhone hamen dekha dekho
ghar se har waqt nikal aate ho khole huye baal
sham dekho na meri jaan savera dekho
Khana-e-jaan mein namudaar hai ek paikar-e-noor
hasraton aao rukh-e-yaar ka jalwa dekho
mar mite ham toh kabhi yaad bhi tum ne na kiya
ab muhbbat ka na karna kabhi dava dekho
dosto tark-e-muhabbat ki naseehat hai fazool
aur na maano toh dil-e-zaar ko samjha dekho
ab vo shokhi se ye kahte hain sitamagar jo hain ham
dil kisi aur se kuch roz behla dekho
hawas-e-deed miti hai na mitegi 'hasrat'
dekhane ke liye chaho unnhen jitna dekho

No comments:

Post a Comment

wel come