tere shehr mein ek diwana bhi hai
jo sab ke sitam ka nishana bhi hai
bada silsila hai hhuda se mera
falak pe mera aana jaana bhi hai
hai maqsad toh apni hi takmeel ka
mohabbat yah teri bahana bhi hai
ravaayat hai aadam se yah ishq ki
yah sauda bohat hi purana bhi hai
bhatakte hain aawara galiyon mein ham
kahin aashiqon ka thikana bhi hai
musalsal safar mein hai apni hayaat
yahan se kahin laut jaana bhi hai
mile voh toh kuch haal-e-dil ham kahen
bohat aaj mausam suhana bhi hai
kahi hai ghazal humne usske liye
yeh 'ahq' jis se chhupana bhi hai
No comments:
Post a Comment