samajh rahe hain aur bolne ka yaara nahin
jo hamse mil ke bichhad jaaye, vo hamara nahin
samndron ko bhi hairat hui ki duubte waqt
kisi ko hamne madad ke liye pukara nahin
jo ham nahin thay toh phir kaun tha sar-e-bazaar
jo kah raha tha ki bikna hamen gavara nahin
abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se
abhi toh qarz-e-maah-o-saal bhi utara nahin
ham ahl-e-dil hain muhabbat ki nisbaton ke amiin
hamare paas zamiinon ka ghoshvara nahin hai
No comments:
Post a Comment