jaanta hun main tumko paa nahin sakta
kis kadar mayyus hun bataa nahin sakta
nazar aata hai aaiinon mein tera aks
teri surat ko main bhulaa nahin sakta
tere aane ki aakhiri umeed hai ye
iss shamma ko main bhujhaa nahin sakta
aankhon mein gam ke saaye baithe hain
zakhm dil ke main chhupa nahin sakta
gamon ko zabaan de baitha hun main
khushiyan tumko main apni nahin de sakta
jal jayenge mere khwab innke saath
main tere khaton ko jalaa nahin sakta
meri aankhon se padh lo meri dastan
mujhpe kya guzri main sunaa nahin sakta
muhjko aise na dekho dil ki khwahishon
ab main tumse nazar milaa nahin sakta
zindagi apne dum pe chal sake toh chal
mein tera bhoj ab uthaa nahin sakta
No comments:
Post a Comment