Friday, May 29, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

na hara hai ishq aur na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sukuun hi sukuun hai, khushi hi khushi hai
tera gham salamat mujhe kya kami hai
vo moujood hain aur unnki kami hai
muhbbat bhi tanhai-e-daaimee hai
khatak gudgudi ka maza de rahi hai
jise ishq kehte hain shayad yahi hai
charagon ke badle makaan jal rahe hain
naya hai zamana, nayi raushni hai
jaffaon pe ghut ghut ke chup rahne waalo
khamoshi jaffaon ki taaiid bhi hai
mere raahbar mujhko gum-raah kar de
suna hai ke manzil qariib aa gayi hai
'khumar'-e-baalanosh tu aur tauba
tujhe zaahidon kii nazar lag gayi hai

No comments:

Post a Comment

wel come