dil mein aao ajeeb ghar hai ye
umar-e-rafta ki rehguzar hai ye
sang-e-manzil se kyun na sar phodoon
hasile zehmat-e-safat hai ye
ranj-e-ghurbat ke naz uthata hun
main hun ab aur dard-e-sar ye hai
abhi raston ki dhoop chaaon na dekh
humsafar duur ka safar hai ye
din nikalne mein koi der nahi
hum na so jaaye ab toh darr hai ye
kuch naye log aane wale hain
garam ab shehr mein khabar hai ye
ab koi kaam bhi kare 'nasir'
rona dhona toh umar bhar hai ye
No comments:
Post a Comment