dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho
vo sitara hai chamakne do yuhi aankhon mein
kya zaroori hai usse jism bana kar dekho
pattharon mein bhi zuba hoti hai, dil hote hain
apne ghar ki dar-o-deewar saja kar dekho
faasla nazaron ka dhoka bhi toh ho sakta hai
vo mile ya na mile haath badha kar dekho
No comments:
Post a Comment