puchhte ho toh suno kaise basar hoti hai
raat khairyat ki, sadqe ki sahar hoti hai
saans bhrane ko toh jeena nahin kehte ya rab !
dil hi dukhta hai na ab aastin tar hoti hai
jaise jaagi hui aankhon mein chuben kaanch ke khwab
raat iss tarah diwano ki basar hoti hai
gham hi dushman hai mera, gham hi ko dil dhoondhta hai
ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai
ek markaz [center] ki talash ek bhatkti khusbho
kabhi manzil kabhi tamhiid[prelude/preamble]-e safar hoti hai
No comments:
Post a Comment