Sunday, May 10, 2009

unknown

sabar vehshat asar na ho jaaye
kahin sehraa bhi ghar na ho jaaye
rashk paigaam hai inaakashe[lagaam khinchna] dil
naambar raahbar na ho jaaye
kasrate sajda se vo nakshe kadam
kahin pamal sar na ho jaaye
mere taguaraye[change] rang ko mat dekh
tujhko apni nazar na ho jaaye
manaaye[deny] zulm hai tagaafulye[laparvahi] yaar
bakht-e-bad ko khabar na ho jaaye
rashke dushman ka fayda maaloom
mufat jii ka jarar[nuksaan] na ho jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come