Friday, May 22, 2009

shad azeemabadi ki shayyiri

dhuundhoge agar mulkon mulkon milne ke nahin, nayab hain ham
tabiir hai jiski hasrat-o-gham-e-ham nafsob voh khwab hain ham
ae dard pata kuch tu hi bata ab tak ye moama hal na hua
ham mein hai dil-e-betab nihaan ya aap dil-e-betab hain ham
main hairat-o-hasrat ka mara khamosh khada hun saahil par
daryia-e-mohabbat kehta hai aa kuch bhi nahin payaab hain ham
laakhon hi musafir chalte hain manzil pe pohanchte hain do ek
ae ahl-e-zamana qadar karo nayab na hon kamyab hain ham
murgaan-e-qafas ko phuulon ne ae 'shaad' ye kahla bheja hai
aa jaao jo tumko aana hai aise mein bhi shadab hain ham

No comments:

Post a Comment

wel come