Saturday, May 30, 2009

unknown

janta hun main tumko paa nahin sakta
kis kadar mayyus hun bata nahin sakta
nazar aata hai aaiinon mein tera aks
teri surat ko main bhula nahin sakta
tere aane ki aakhiri umeed hai ye
iss shamma ko main bhujha nahin sakta
aankhon mein gham ke saaye baithe hain
zakhm dil ke main chhupa nahin sakta
gamon ko zaban de baitha hun main
khushiyan tumko main apni nahin de sakta
jal jaayenge mere khwaab innke sath
main tere khaton ko jala nahin sakta
meri aankhon se padh lo meri dastan
mujhpe kya guzri main suna nahin sakta
muhjko aise na dekho dil ki khwahishon
ab main tumse nazar mila nahin sakta
zindagi apne dum pe chal sake toh chal
main tera bhojh ab utha nahin sakta

No comments:

Post a Comment

wel come