Saturday, May 30, 2009

unknown

bheed mein rishton ki iss dil ko akela dekha
zindgi aisa bhi humne tera chehra dekha
ab toh bandh hone ki ankhon ko ijaazat dede
barson ankhon ne tera jaag ke rasta dekha
gareebi tujhe kaise main na kaatil samjhun
maine hi karte tujhe khoon-e-tamanna dekha
umar bhar saath chale phir bhi rahe tum tanha
humne qurbat mein bhi ek faasla aisa dekha
ussne bahon mein sama rakhe thay dariya lekin
humne saahil ko dekha toh woh bhi payasa dekha !!!!

No comments:

Post a Comment

wel come