Saturday, May 30, 2009

unknown

zindgi mein toh sabhi pyar kiya karte hai
main toh marr kar bhi meri jaan tujhe chahunga
tu mila hai toh ye ehsaas hua hai mujhko
ye meri umar muhabat ke liye thodi hai
ek zara sa gham-e-dauraan[mundane sufferings] ka bhi haq hai jis par
maine vo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaunga qurbaan tujhe chahunga
apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavur bhi judai ka bhala kaise karuun
maine qismat ki lakeeron se churaya hai tujhe
pyar ka ban ke nigehbaan tujhe chahunga
teri har chaap se jalte hain khayalon mein chiraag
jab bhi tu aaye jagaata hua jaadu aaye
tujhko chuu loon toh phir ar ! jaan-e-tamana mujhko
der tak apne badan se teri khusbhu aaye
tu baharon ka hai unvaan tujhe chahunga

No comments:

Post a Comment

wel come